Om Zero Mile Patna
Zero Mile ek aisi series hai jo hamare chir-parichit shahron ko ek nayee nazar se dekhti hai. Is series
ki har kitaab ek aise jane-maane lekhak ki kalam ki den hai jo us shahar se gahra lagaaw rakhte hain,
lekin shahar ke vibhinn pahluon kaa tatasth hokar vishleshan bhi karte hain. Iski pahli kadi ke roop
me Patna shahar par yeh kitaab prastut hai.Isme kavi-kathakar Sanjay kundan ne shahar ke
buniyaadi charitra ko pahchanne ki koshish karte hue iske janjeevan ki jhaanki pesh ki hai. Unhon ne
shahar me aa rahe Badlavon ko rekhankit kiyaa hai aur iski kuchch sthaayi samasyaaon ki charcha bhi
ki hai.
Yeh na to Shahar kaa itihaas hai, na sansmaran, na hi samajshastriya vivechan lekin isme in tinon ki
taqat aur rochaktaa samaahit hai. Zero mile Patna is shahar ko likha ek prem patra hai-aur har prem
patra ki tarah isme pyaar bhi hai , shikaayat bhi, dulaar bhi hai aur anban bhi.
Vis mer