Om saans / साँस
kuch ek purze ko sabke dhile hote hain... inhi dhile purzon ka shor insaan ko zindagi jeene ka asl maqsad deta hai... mujhe bhi har aati saans mai ye shor sunai deta hai... kabhi surkh to kabhi sabz... to kabhi khudrang...
dil ke darcihe khol kar sunoge to tumhein bhi har aati saans mai ye shor sunai dega... jab ehsaas bolte hain to kaano.n main khud ba khud shahad ghul jaata hai... aisa hoga.. to ek lamhe mai hi samajh jaoge ke tumhari zindagi ka maqsad aakhirkar hai kya... vahan pahunch jaoge jahan pahuchne ki khwahish tumhein humesha se thi... vahan jahan pahunch kar kahin pahunchna nahi chahoge...
anth mai ""jaun"" se maufi ke saath jaun ke liye ek sher...
""kar de mujhe aise rihaa kuch apne aap se
har vehm se aazaad... k mai ishq kar sakun
kaash tumhare baad bhi main... ishq kar sakun !!""
Vis mer